Saturday 15 February 2014

Itnaa na mujhse tu pyaar badhaa...



itnaa na mujhse tu pyaar badhaa, ke main ek baadal aawaaraa
kaise kisi kaa sahaaraa banoon, ke main khud beghar bechaaraa

Isliye tujhse main pyaar karoon, ke tu ek baadal aawaaraa
janam janam se hoon saath tere, hai naam meraa jal ki dhaaraa

mujhe ek jagah aaraam nahin, ruk jaanaa meraa kaam nahin
meraa saath kahaan tak dogi tum, mai desh videsh kaa banjaaraa

o neel gagan ke deewaane, tu pyaar na meraa pahchaane
main tab tak saath chaloon tere, jab tak na kahe tu main haaraa

kyun pyaar mein tu naadaan baney, ik paagal kaa armaan bane
ab laut ke jaana mushkil hai, maine chhod diya hai jag saara

No comments: